Thursday 24 September 2015

रंजीता के शब्द

Tum kavi udas na hona
Tum kavi nirash na hona,
Tab vi nahi jab jeewan ke gahantam andhero me
Tumhe kuch na sujhta ho,
Ya tab jab tanhai tumhe Mar dalne lage..
Saavi tumhe paraye se dikhne lage ,
Aur har rishta jab chor chale tumhara sath.

Tab vi nahi ..
Tab vi tum kavi udas na hona,
Tab vi tum kavi nirash na hona,
Main hu .........
Aur hamesha hi rahungi ,
Tumhare sath .....
Tumhare pas,
Ek shardha ki tarah. ....
Ek pooja ki tarah ......
Ek aastha ki tarah.....
Nirakar.............
Bhale hi kai bar tum mujhe dekh na payoge,
Par mujhe har pal. .partial jina,
Mehsoos karna .......
Apni tmam chetan aur achetan vichardhara me,
Main hu...
Aur.....
Rahungi .... hamesha
Tumhare pas.....Tumhare sath. .
Bas tum hausla aur zazba bachaye rakhna.
Mere khawab apne palkoN pe sajaye rakha.