Nanhi chiria ka aakash kitna hai
Uska parisiman kaun tai karega
Tum ya mai ya hamdono
Sirf aakash hi kyo
Uska ek neer vi to banana hoga
Tinka tinka jor ke lana hoga
Kya tunhe lagta hai tum De sakoge
Ek mukt aakash aur ek surakhit neer
Ek kilol aur sapno ke dher sare peroN par
Vicharti ...hansti. .vihasti wo nanhi chiria
Kya uski chonch me dana bharna
Tumhe uski dega. .kya barish se gile
Uske pankh ko tum apne pankhoN se
Dhak doge. .kya unchi aur lambi uran se
Thaki bahut thaki wo nanhi chiria
Sukh ke kuch nirwidhn nind le payegi
Aur jab aankh khole to apne neer me
Pahle se rakha dana-pani chug payegi
Aur fir aasman ke Jane kitne naye kone haiN
Jo usne kavi nahi vichra
Un sundar sapnile path ki rah dikha payoge tum
Us naye nawele neel gagan me
Sang uske urr payoge tum.
Uska parisiman kaun tai karega
Tum ya mai ya hamdono
Sirf aakash hi kyo
Uska ek neer vi to banana hoga
Tinka tinka jor ke lana hoga
Kya tunhe lagta hai tum De sakoge
Ek mukt aakash aur ek surakhit neer
Ek kilol aur sapno ke dher sare peroN par
Vicharti ...hansti. .vihasti wo nanhi chiria
Kya uski chonch me dana bharna
Tumhe uski dega. .kya barish se gile
Uske pankh ko tum apne pankhoN se
Dhak doge. .kya unchi aur lambi uran se
Thaki bahut thaki wo nanhi chiria
Sukh ke kuch nirwidhn nind le payegi
Aur jab aankh khole to apne neer me
Pahle se rakha dana-pani chug payegi
Aur fir aasman ke Jane kitne naye kone haiN
Jo usne kavi nahi vichra
Un sundar sapnile path ki rah dikha payoge tum
Us naye nawele neel gagan me
Sang uske urr payoge tum.
रंजिता सिंह